tum  kisī  taur  kisī  shakl  nahīñ  kar  sakte
is  zamīñ  se  mujhe  be-daḳhl  nahīñ  kar  sakte
Thiik  hai  aap  mirī  jaan  to  le  sakte  haiñ
merī  āvāz  magar  qatl  nahīñ  kar  sakte
tujh  ko  nuqsān  to  pahuñchānā  bahut  duur  kī  baat
terī  tasvīr  ko  bad-shakl  nahīñ  kar  sakte
sher  kahne  kā  salīqa  hai  bahut  ba.ad  kī  baat
Thiik  se  ham  to  abhī  naql  nahīñ  kar  sakte
aise  hālāt  meñ  ham  dil  ko  talab  karte  haiñ
faisla  rakh  ke  jahāñ  aql  nahīñ  kar  sakte