Bashir Zaidi Aseer

yun khul gaya hai raaz-e-shikast-e-talab kabhi

Bashir Zaidi Aseer

yuuñ khul gayā hai rāz-e-shikast-e-talab kabhī
āñkhoñ se bah gayā hai lahū be-sabab kabhī
vīrāniyoñ ne thaam liyā dāman-e-hayāt
ham log bhī the ḳhanda-e-bazm-e-tarab kabhī
jo log aaj zīnat-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl haiñ
rahte the saath saath mire roz-o-shab kabhī
āvāra aaj sūrat-e-barg-e-ḳhizāñ mile
miltī thī jin se bād-e-sabā bā-adab kabhī
ek ek samt jin ko bagūle uḌā ga.e
yakjā na ho sakeñge vo aurāq ab kabhī
tark-e-ta.alluqāt hai phir bhī ThiThuk ga.e
guzre haiñ mere paas se ho kar vo jab kabhī
mohlat kuchh aur kashmakash-e-intizār de
aa jaa.e kuchh ḳhayāl use kyā ajab kabhī
Top Urdushayar.com