Muzaffar Ali Syed

jawani magar is qadar mastiyan

Muzaffar Ali Syed

javānī magar is qadar mastiyāñ
shab-o-roz shām-o-sahar mastiyāñ
na dil meñ zarā bhī nadāmat huī
machāte rahe raat bhar mastiyāñ
havāoñ meñ lau thartharātī rahī
udhar thī hayā aur idhar mastiyāñ
havas-kāriyoñ ko masarrat na kah
mohabbat meñ itnī na kar mastiyāñ
javānī gañvāte haiñ jo zohd meñ
buḌhāpe meñ karte haiñ ḳhar mastiyāñ
kabhī ḳhalvatoñ meñ takalluf baham
kabhī haiñ sar-e-rahguzar mastiyāñ
baḌī mushkiloñ se shab-e-ehtiyāt
jo guzrī to pichhle pahar mastiyāñ
vahīñ dostī hai jahāñ ishq hai
jidhar ḳhvāriyāñ haiñ udhar mastiyāñ
adāoñ ko ulfat samajhtā hai tū
nahīñ ai mire be-ḳhabar mastiyāñ
savāboñ se un kā sahī fāsla
gunāhoñ se haiñ dūr-tar mastiyāñ
yahāñ hikmateñ bhī utartī rahīñ
uchhaltī rahī haiñ agar mastiyāñ
piyāpe tire naam par gardisheñ
damā-dam tire naam par mastiyāñ
koī kaam 'sayyad' ne chhoḌā nahīñ
kamālāt sair-o-safar mastiyāñ
Top Urdushayar.com