Muzaffar Ali Syed

kaam koi to kabhi waqt se aage kar ja

Muzaffar Ali Syed

kaam koī to kabhī vaqt se aage kar jā
ai dil-e-zinda mire marne se pahle mar jā
sāġhar-e-chashm ko zahrāb se ḳhālī kar de
aur jo bhartā hai tū paimāna-e-hastī bhar jā
tishnagī kam ho magar duur na hone paa.e
apne pyāse ko na sairāb-e-mohabbat kar jā
ḳhaak se tā-ba-falak ḳhvāb kā phailā dāman
koī koshish na kahīñ aur tamannā har jā
tū musāfir tire kis kaam kī shohrat 'sayyad'
ye saḳhāvat sar-e-dahlīz-e-rafīqāñ dhar jā
Top Urdushayar.com