tujhe  sunā.ūñ  ġhazal  yā  sunā.ūñ  apnā  ġham
zarā  irāda  batā  tū  bhī  kuchh  ai  mere  sanam
maiñ  shāhzādī  huuñ  alfāz  ke  riyāsat  kī
ḳhazāna  sher-o-suḳhan  kā  kabhī  na  hogā  kam
nibhā  rahe  haiñ  sabhī  se  ḳhulūs  ke  rishte
isī  se  baaqī  hai  duniyā  ke  bāzūoñ  meñ  dam
jo  ham  se  raat  meñ  tanhā.ī  ham-kalām  huī
sañvar  gayā  mire  jazboñ  kā  aaj  saarā  ḳham
mujhe  pasand  nahīñ  be-hayā.ī  duniyā  kī
koī  sameT  le  aa  kar  tamīz  kā  yuuñ  bharam
bayān  kar  diyā  jazbāt  maiñ  ne  bhī  'shīrīñ'
hunar  ye  apnā  nahīñ  hai  ḳhudā  kā  ḳhaas  karam