idhar-udhar  jo  charāġh  TuuTe  paḌe  hue  haiñ
salām  un  ko  ye  āñdhiyoñ  se  laḌe  hue  haiñ
dikhā  rahe  haiñ  hameñ  jo  apnā  phulā  ke  siina
hameñ  pata  hai  ye  kis  ke  bal  par  khaḌe  hue  haiñ
gale  milāne  kī  sulh  kī  ho  pahal  kidhar  se
abhī  to  donoñ  hī  apnī  zid  par  aḌe  hue  haiñ
haqīqateñ  sab  dabī  huī  haiñ  unhī  ke  nīche
siyāsī  logoñ  ne  aise  qisse  ghaḌe  hue  haiñ
dikhā.ī  dene  lage  haiñ  rishte  tamām  baune
abhī  to  sāhab  kamā  ke  daulat  baḌe  hue  haiñ