Kishwar Naheed

KHushbu ko rangton pe ubharta hua bhi dekh

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940

ḳhushbū ko rañgtoñ pe ubhartā huā bhī dekh

naqsh-e-zar-e-bahār chamaktā huā bhī dekh

rakh ke madār-e-shauq kisī āftāb par

sañg-e-intizār pighaltā huā bhī dekh

āñkhoñ ke gird jhāñkte halqe na dekh

sail-e-ḳhajista-ḳhū ko utartā huā bhī dekh

be-faiz dasht-e-dard meñ āhistagī ke saath

āhū-sarisht logoñ ko chaltā huā bhī dekh

rañg-e-hinā ko naqsh-e-qadam se judā bhī kar

sahrā meñ raḳhsh-e-shauq ko girtā huā bhī bhī dekh

mahsūs kar chhalakte hue shauq jalan

yaḳh chāñdnī meñ jism ko jaltā huā bhī dekh

har chiiz de ke jaatī hai apnī nishāniyāñ

har gul meñ rañg-e-sub.h jhalaktā huā bhī dekh

'nāhīd' chīra-e-dastī-e-yārāñ aziiz rakh

mauqe ke saath un ko badaltā huā bhī dekh

Top Urdushayar.com