Siddiq ahmad Nizami

tang aa gae hain kashmakash-e-ashiyan se hum

Siddiq ahmad Nizami

tañg aa ga.e haiñ kashmakash-e-āshiyāñ se ham
ab jā rahe haiñ aap ke is gulistāñ se ham
sayyād ne jo kaaT diye bāl-o-par tamām
fariyād aaj karte haiñ us bāġhbāñ se ham
bijlī chamak rahī hai nasheman kī ḳhair ho
māyūs ho ga.e haiñ kuchh ab āshiyāñ se ham
fasl-e-bahār hai ajī gaane ke roz haiñ
kunj-e-qafas meñ baiThe haiñ ik be-zabāñ se ham
har shaḳhs hai hamārī mohabbat pe ta.ana-zan
tañg aa ga.e haiñ apnī hī is dāstāñ se ham
un kī navāzishāt bhī sab rā.egāñ ga.iiñ
nādim se ho rahe haiñ ab ik mehrbāñ se ham
ye shukr hai ki duur nahīñ manzil-e-murād
chhup-chhup ke jā pahuñchte haiñ har pāsbāñ se ham
ai dil muaaf kar de 'nizāmī' kī be-ruḳhī
Darte haiñ is zamāne meñ har bad-gumāñ se ham
Top Urdushayar.com