tañg  aa  ga.e  haiñ  kashmakash-e-āshiyāñ  se  ham
ab  jā  rahe  haiñ  aap  ke  is  gulistāñ  se  ham
sayyād  ne  jo  kaaT  diye  bāl-o-par  tamām
fariyād  aaj  karte  haiñ  us  bāġhbāñ  se  ham
bijlī  chamak  rahī  hai  nasheman  kī  ḳhair  ho
māyūs  ho  ga.e  haiñ  kuchh  ab  āshiyāñ  se  ham
fasl-e-bahār  hai  ajī  gaane  ke  roz  haiñ
kunj-e-qafas  meñ  baiThe  haiñ  ik  be-zabāñ  se  ham
har  shaḳhs  hai  hamārī  mohabbat  pe  ta.ana-zan
tañg  aa  ga.e  haiñ  apnī  hī  is  dāstāñ  se  ham
un  kī  navāzishāt  bhī  sab  rā.egāñ  ga.iiñ
nādim  se  ho  rahe  haiñ  ab  ik  mehrbāñ  se  ham
ye  shukr  hai  ki  duur  nahīñ  manzil-e-murād
chhup-chhup  ke  jā  pahuñchte  haiñ  har  pāsbāñ  se  ham
ai  dil  muaaf  kar  de  'nizāmī'  kī  be-ruḳhī
Darte  haiñ  is  zamāne  meñ  har  bad-gumāñ  se  ham