Baqaullah 'Baqa'

jo chashm-o-dil se chaDha dun nale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish

Baqaullah 'Baqa'

Agra, Uttar pradesh, India

1791

jo chashm-o-dil se chaḌhā duuñ naale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish

to māh-o-ḳhur ke bharūñ pyāle ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish

jo chashm rove to dil bhī aahoñ meñ merī laḳht-e-jigar pirove

jape vo sumran tirī ye maale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish

jo koī turbat pe merī guzre to tāb-e-ashk-o-tab-e-fuġhāñ se

paḌeñ do har har qadam pe chhāle ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish

jo āh-e-pechāñ se ashk shab ko falak pe gardish-kunāñ chaḌhegā

to gird-e-mah do paḌeñge haale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish

sarishk-o-āh ab ye be-asar haiñ ki falak tak shab-e-judā.ī

dar-e-asar par ye de haiñ taale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish

mabād furqat meñ chashm-o-dil ye ashk-rezī aur āh-ḳhezī

balā-e-nāgah jahāñ pe Daale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish

falak se devoñ tarah us bin sarishk-o-āh-e-'baqā' se ab to

chaḌhe haiñ laḌne ko do risāle ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish

Top Urdushayar.com