muddatoñ  meñ  ghar  hamāre  aaj  yaar  aa  hī  gayā
zulm  kartā  thā  magar  zālim  ko  pyaar  aa  hī  gayā
hijr  kī  rāteñ  kaTīñ  taare  gine  jaagā  kiye
vasl  ke  lamhe  mile  āḳhir  qarār  aa  hī  gayā
vahm  the  merī  taraf  se  bad-gumānī  thī  unheñ
merī  fitrat  dekh  ke  ab  e'tibār  aa  hī  gayā
maiñ  ne  maanā  aarzī  haiñ  vasl  kī  ghaḌiyāñ  magar
chand  lamhoñ  ke  liye  daur-e-bahār  aa  hī  gayā
ham  ko  piine  se  ġharaz  kyā  ye  sharāb-e-zāhirī
in  kī  nazreñ  jab  uThīñ  mujh  ko  ḳhumār  aa  hī  gayā
ai  'nizāmī'  daf.atan  un  kī  nigāheñ  uTh  ga.iiñ
pyaar  vo  karte  na  the  be-iḳhtiyār  aa  hī  gayā