guzarnā  rahguzāroñ  se  baḌā  āsān  thā  pahle
ilāqa  ham  jahāñ  rahte  haiñ  vo  sunsān  thā  pahle
sabab  kyā  hai  use  khone  kā  kuchh  bhī  ġham  nahīñ  hotā
jise  paane  kā  is  dil  ko  baḌā  armān  thā  pahle
ye  aalam  hai  ki  ab  kuchh  bhī  nahīñ  ik  hū  kā  aalam  hai
hamāre  ḳhāna-e-dil  meñ  koī  mehmān  thā  pahle
bashar  kā  shar  numāyāñ  ho  gayā  daur-e-taraqqī  meñ
yahī  vo  aadmī  hai  jo  kabhī  insān  thā  pahle
ajab  ḳhushbū  sī  aatī  hai  dar-o-dīvār  se  ab  bhī
yahāñ  koī  yaqīnan  sāhib-e-īmān  thā  pahle
vo  mere  vāste  ab  jaan  dene  par  hai  āmāda
vahī  'jāved'  jo  merā  harīf-e-jān  thā  pahle