na.ī  zamīn  nayā  āsmāñ  banāte  haiñ
ham  apne  vāste  apnā  jahāñ  banāte  haiñ
bujhī  bujhī  sī  vo  tasvīr-e-jāñ  banāte  haiñ
kahīñ  charāġh  kahīñ  par  dhuāñ  banāte  haiñ
bayān  karte  haiñ  ham  dāstān  lafzoñ  meñ
zarā  sī  baat  kī  vo  dāstāñ  banāte  haiñ
chamaktī  dhuup  meñ  kirneñ  sameTte  haiñ  ham
unhīñ  ko  taan  ke  phir  sā.ebāñ  banāte  haiñ
sukūn-e-dil  ke  liye  ham  bhī  roz  kāġhaz  ke
kabhī  to  phuul  kabhī  titliyāñ  banāte  haiñ
jo  madd-o-jazr  se  vāqif  nahīñ  haiñ  dariyā  ke
vo  sāhiloñ  pe  hī  aksar  makāñ  banāte  haiñ
banāte  rahte  haiñ  'jāved'  kashtiyāñ  lekin
ham  un  ke  vāste  phir  bādbāñ  banāte  haiñ