maiñ  ne  rokā  bahut  par  ga.e  sab  ke  sab
jaane  phir  kyā  huā  Dar  ga.e  sab  ke  sab
dost  kyā  ab  to  dushman  bhī  mafqūd  haiñ
baat  kyā  hai  kahāñ  mar  ga.e  sab  ke  sab
har-qadam  par  zamāna  muḳhālif  rahā
kaam  apnā  magar  kar  ga.e  sab  ke  sab
din  meñ  sūraj  ke  the  ham-safar  din  Dhale
le  ke  māyūsiyāñ  ghar  ga.e  sab  ke  sab
peḌ  sūkhe  the  qudrat  bhī  thī  mehrbāñ
aaj  phal-phūl  se  bhar  ga.e  sab  ke  sab
kyā  ḳhatā  thī  kisī  ne  batāyā  nahīñ
mujh  pe  ilzām  kyuuñ  dhar  ga.e  sab  ke  sab
aap  tanhā  bache  haiñ  mirī  bazm  meñ
varna  'jāved'-aḳhtar  ga.e  sab  ke  sab