jāntā  huuñ  harīf-e-jāñ  haiñ  sab
haañ  magar  aaj  vo  kahāñ  haiñ  sab
ek  maiñ  hī  zamīñ  kī  sūrat  huuñ
aur  baaqī  to  āsmāñ  haiñ  sab
kaun  merī  zabāñ  samajhtā  hai
yuuñ  to  kahne  ko  ham-zabāñ  haiñ  sab
maiñ  sabhī  ko  samajhtā  haq-go  huuñ
aur  mujh  se  hī  bad-gumāñ  haiñ  sab
kaun  sī  maslahat  hai  jo  mujh  par
is  qadar  aaj  mehrbāñ  haiñ  sab
sun  ke  saare  hī  sānehāt  mire
log  bole  ki  dāstāñ  haiñ  sab