pūchhā  hī  nahīñ  us  ne  kabhī  haal  hamārā
bas  yuuñ  hī  guzar  jaatā  hai  har  saal  hamārā
rahtī  hai  ḳhabar  saare  zamāne  kī  hameñ  bhī
phailā  hai  bahut  duur  talak  jaal  hamārā
mushkil  hai  kisī  kaam  kā  honā  bhī  yahāñ  par
ho  jaatā  hai  har  kaam  ba-har-hāl  hamārā
ham  ne  to  numā.ish  bhī  lagā.ī  nahīñ  phir  bhī
bāzār  meñ  chal  jaatā  hai  har  maal  hamārā
pahchān  zamāne  se  alag  hī  hai  hamārī
miltā  nahīñ  har  ek  se  sur-tāl  hamārā
mumkin  hai  ki  ban  jaa.eñ  shahanshāh-e-ġhazal  ham
vaise  to  irāda  nahīñ  filhāl  hamārā