dil  kī  duniyā  hai  musībat  se  bharī  rahtī  hai
phir  bhī  har  shāḳh  tamannā  kī  harī  rahtī  hai
jaane  kab  aa  ke  vo  darvāze  pe  dastak  de  de
zindagī  maut  kī  aahaT  se  Darī  rahtī  hai
ḳhvāb  meñ  bhī  nahīñ  dekhā  kabhī  chehra  us  kā
dil  ke  ā.īne  meñ  sunte  haiñ  parī  rahtī  hai
maiñ  sikandar  huuñ  na  suufī  na  qalandar  yaaro
phir  bhī  raushan  mirī  āshufta-sarī  rahtī  hai
ek  hī  pal  meñ  palaTtī  hai  lakīroñ  jaisī
jaise  har  saañs  hathelī  pe  dharī  rahtī  hai