nazar  se  duur  hote  jā  rahe  haiñ
sarāpā  nuur  hote  jā  rahe  haiñ
jinheñ  badnām  karnā  chāhte  ho
vahī  mash.hūr  hote  jā  rahe  haiñ
ham  āġhāz-e-safar  se  pahle  hī  kyuuñ
thakan  se  chuur  hote  jā  rahe  haiñ
baḌhī  hai  raushnī  tahzīb-e-nau  kī
makāñ  be-nūr  hote  jā  rahe  haiñ
har  ik  apnā  janāza  Dho  rahā  hai
sabhī  mazdūr  hote  jā  rahe  haiñ
khile  the  phuul  zaḳhmoñ  ke  jo  ik  din
vo  ab  nāsūr  hote  jā  rahe  haiñ