maujoñ  kā  shor-o-shar  hai  barābar  lagā  huā
dariyā  se  is  qadar  hai  mirā  ghar  lagā  huā
aisā  na  ho  ki  TuuT  paḌe  sar  pe  āsmāñ
hai  kuchh  dinoñ  se  mujh  ko  baḌā  Dar  lagā  huā
ab  us  ke  shar  se  ḳhud  ko  bachānā  bhī  hai  mujhe
rahtā  hai  mere  saath  jo  aksar  lagā  huā
had  chhū  rahī  thī  raat  jahāñ  tishnagī  mirī
thā  us  ke  ba.ad  ek  samundar  lagā  huā
sannāTe  chīḳhte  haiñ  mire  chār-sū  magar
dil  meñ  hai  iztirāb  kā  mahshar  lagā  huā
dushman  kī  baat  chhoḌiye  hairat  hai  ḳhud  mujhe
gardan  se  aaj  bhī  hai  mirā  sar  lagā  huā
taktā  huuñ  be-qarār  nigāhoñ  se  baar  baar
hai  āsmāñ  se  merā  kabūtar  lagā  huā