kaḌī  hai  dhuup  kare  kis  tarah  safar  koī
nahīñ  hai  raah  meñ  ab  duur  tak  shajar  koī
maiñ  apne  shahr  meñ  phirtā  huuñ  ajnabī  kī  tarah
ajab  nigāh  se  taktā  hai  mujh  ko  har  koī
tamām-umr  maiñ  ḳhud  apne  aap  meñ  gum  thā
talāsh  kartā  rahā  mujh  ko  umr-bhar  koī
maiñ  ek  rāhguzar  kī  talāsh  meñ  huuñ  magar
talāsh  kartī  hai  mujh  ko  bhī  rahguzar  koī
maiñ  barguzīda  buzurgoñ  kī  ik  nishānī  huuñ
mujhe  bhī  dekh  le  jī-bhar  ke  ik  nazar  koī
hamārī  bastī  meñ  kahne  ko  log  baste  haiñ
makān  chāroñ  taraf  haiñ  nahīñ  hai  ghar  koī