Mohammad Ismail Aasi Aarwi

kahan kisi ki nazar hai teri nazar ki tarah

Mohammad Ismail Aasi Aarwi

kahāñ kisī kī nazar hai tirī nazar kī tarah
jo kaam dil kā bhī kartī chale jigar kī tarah
bahut se aise bhī duniyā meñ log milte haiñ
jo bā-ḳhabar haiñ magar haiñ vo be-ḳhabar kī tarah
ye barbariyat-o-vahshat ye aag aur ye dhuāñ
bashar ko rahnā bhī mushkil hai ab bashar kī tarah
asīr-e-hūr haiñ vaa.iz ab un kī kaun sune
kahānī aap kī hai tūl-e-muḳhtasar kī tarah
barasne ko to barastā hai abr-e-naisāñ bhī
magar baras na sakā merī chashm-e-tar kī tarah
na jaane kaun se aalam meñ gum huā 'āsī'
na bā-ḳhabar kī tarah hai na be-ḳhabar kī tarah
Top Urdushayar.com