hazār  zaḳhm  haiñ  dil  par  jigar  pe  khaa.e  hue
magar  mile  jo  kisī  se  to  muskurā.e  hue
kuchh  is  adā  se  vo  aa.e  nazar  jhukā.e  hue
tamām  rah  ga.e  shikve  zabāñ  pe  aa.e  hue
udhar  to  sāġhar-o-paimāna  vaale  rahte  haiñ
udhar  kahāñ  chale  vaa.iz  qadam  baḌhā.e  hue
baḌho  kuchh  aur  ki  tārīkī-e-jafā  kam  ho
isī  tarah  se  charāġh-e-vafā  jalā.e  hue
hameñ  satāne  se  baaz  aaoge  yaqīñ  to  nahīñ
tumhāre  kitne  hī  va.ade  haiñ  āzmā.e  hue
tumhāre  tīr-e-nazar  ko  kisī  ne  kuchh  na  kahā
hamārī  aah  ko  haiñ  dāstāñ  banā.e  hue
hamārā  zikr  aur  is  mai-kade  meñ  ai  'āsī'
yahāñ  to  shaiḳh-o-barahman  haiñ  Dagmagā.e  hue