ai  jaan  husn-e-afsar-e-ḳhūbāñ  tumhīñ  to  ho
maiñ  ik  gadā-e-ishq  huuñ  sultāñ  tumhīñ  to  ho
pahūñchī  hai  āsmāñ  pe  tajallī  jamāl  kī
kahte  haiñ  log  mehr-e-daraḳhshāñ  tumhīñ  to  ho
sach  sach  ye  kah  rahā  hai  tanāsuḳh  kā  mas.ala
rūh-e-azīz-e-yūsuf-e-kan.āñ  tumhīñ  to  ho
aage  tumhāre  sarv  hai  ġhairat  se  pā-ba-gul
sahn-e-chaman  meñ  sarv-e-ḳhirāmāñ  tumhīñ  to  ho
har  baat  par  bigaḌte  ho  rindoñ  se  shaiḳh-jī
saare  jahāñ  meñ  ek  musalmāñ  tumhīñ  to  ho
dil  merā  le  ke  tum  ne  khilaunā  banā  liyā
duniyā  meñ  ek  tiflak-e-nādāñ  tumhīñ  to  ho
bātoñ  meñ  sehr  chaal  meñ  mahshar  nigah  meñ  qahr
sābit  hai  in  se  fitna-e-daurāñ  tumhīñ  to  ho
dil  de  ke  tum  ko  kyuuñ  na  kahūñ  māya-e-hayāt
mere  jigar  tumhīñ  ho  mirī  jaañ  tumhīñ  to  ho
maddāh  hoñ  tumhāre  na  kis  tarah  haq-pasand
'ahqar'  butoñ  ke  ek  sanā-ḳhvāñ  tumhīñ  to  ho