āh-o-nāla  ne  kuchh  asar  na  kiyā
hijr  kī  shaam  ko  sahar  na  kiyā
talḳhī-e-sabr  ḳhush-gavār  huī
zahr  ne  bhī  mujhe  asar  na  kiyā
sar  ko  phoḌā  jo  kohkan  ne  to  kyā
ishq  meñ  kis  ne  nazr-e-sar  na  kiyā
kaun  sī  aisī  aafat  aa.ī  jab
āsmāñ  ne  mujhe  sipar  na  kiyā
kāñptā  hai  vo  dil  ġhazab  se  tire
jis  ne  ai  but  ḳhudā  kā  Dar  na  kiyā
jis  ne  dekhā  vo  ro.e  ātishnāk
phir  gumāñ  use  ne  barq  par  na  kiyā
kuuch  apnā  bhī  ho  gayā  'ahqar'
ġham-o-andoh  ne  safar  na  kiyā