Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

aasman par hai dimagh us ka KHud-arai ke sath

Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

āsmāñ par hai dimāġh us kā ḳhud-ārā.ī ke saath
maah ko taulegā shāyad apnī ra.anā.ī ke saath
sair kar aalam kī ġhāfil dīdanī hai ye tilism
lutf hai in donoñ āñkhoñ kā to bīnā.ī ke saath
dil kahīñ hai jaañ kahīñ hai maiñ kahīñ āñkheñ kahīñ
dostī achchhī nahīñ mahbūb harjā.ī ke saath
is meñ zikr-e-yār hai is meñ ḳhayāl-e-yār hai
apnī ḳhāmoshī bhī ham-palla hai goyā.ī ke saath
ahd-e-pīrī meñ vo aalam naujavānī kā kahāñ
valvale jaate rahe saarī tavānā.ī ke saath
dīda-e-āhū kahāñ vo añkhḌiyāñ kaalī kahāñ
kyā muqābil kījiye shahrī ko sahrā.ī ke saath
dil nahīñ gurg-e-baġhal hai zabt se ḳhuuñ kar use
kār-e-dushman karte haiñ ai dost dānā.ī ke saath
ek bose par garebāñ-gīr ai nādāñ na ho
terī rusvā.ī bhī hai āshiq kī rusvā.ī ke saath
dil to dīvāna hai 'ahqar' tū bhī dīvāna na ho
koī saudā.ī banā kartā hai saudā.ī ke saath
Top Urdushayar.com