āsmāñ  par  hai  dimāġh  us  kā  ḳhud-ārā.ī  ke  saath
maah  ko  taulegā  shāyad  apnī  ra.anā.ī  ke  saath
sair  kar  aalam  kī  ġhāfil  dīdanī  hai  ye  tilism
lutf  hai  in  donoñ  āñkhoñ  kā  to  bīnā.ī  ke  saath
dil  kahīñ  hai  jaañ  kahīñ  hai  maiñ  kahīñ  āñkheñ  kahīñ
dostī  achchhī  nahīñ  mahbūb  harjā.ī  ke  saath
is  meñ  zikr-e-yār  hai  is  meñ  ḳhayāl-e-yār  hai
apnī  ḳhāmoshī  bhī  ham-palla  hai  goyā.ī  ke  saath
ahd-e-pīrī  meñ  vo  aalam  naujavānī  kā  kahāñ
valvale  jaate  rahe  saarī  tavānā.ī  ke  saath
dīda-e-āhū  kahāñ  vo  añkhḌiyāñ  kaalī  kahāñ
kyā  muqābil  kījiye  shahrī  ko  sahrā.ī  ke  saath
dil  nahīñ  gurg-e-baġhal  hai  zabt  se  ḳhuuñ  kar  use
kār-e-dushman  karte  haiñ  ai  dost  dānā.ī  ke  saath
ek  bose  par  garebāñ-gīr  ai  nādāñ  na  ho
terī  rusvā.ī  bhī  hai  āshiq  kī  rusvā.ī  ke  saath
dil  to  dīvāna  hai  'ahqar'  tū  bhī  dīvāna  na  ho
koī  saudā.ī  banā  kartā  hai  saudā.ī  ke  saath