ḳhush-rañg  hai  gul  se  gul-e-ruḳhsār  tumhārā
raihāñ  se  sivā  ḳhat  hai  numūdār  tumhārā
matlūb  ho  tum  dil  hai  talabgār  tumhārā
ye  aa.ina  hai  tishna-e-dīdār  tumhārā
yūsuf  ko  kabhī  muft  bhī  letī  na  'zuleḳhā'
nazzāra  jo  kartī  sar-e-bāzār  tumhārā
dāman  kā  bhī  bosa  na  liyā  fart-e-adab  se
ab  tak  nahīñ  ye  banda  gunahgār  tumhārā
garmī  se  jo  ḳhurshīd-e-qayāmat  kī  jaleñge
yaad  aa.egā  ye  sāya-e-dīvār  tumhārā
ushshāq  ke  sajdoñ  kā  bhalā  zikr  hī  kyā  hai
hindū-o-musalmāñ  hai  parastār  tumhārā
tuutī  kī  tarah  kyuuñ  na  suḳhan-sanj  ho  'ahqar'
hai  sāmne  ā.īna-e-ruḳhsār  tumhārā