saudā-e-gesū-e-siyah-e-yār  ho  gayā
āzād  thā  jo  dil  so  giraftār  ho  gayā
majlis  meñ  jis  taraf  tirī  tirchhī  nazar  paḌī
ik  tiir  thā  ki  toḌ  ke  saf  paar  ho  gayā
sach  hai  ye  hirs  kartī  hai  insān  ko  ḳharāb
ġham  khāyā  is  qadar  ki  maiñ  bīmār  ho  gayā
dil  ko  qarār  hai  na  to  jaañ  ko  qarār  hai
ye  ishq  hai  ilāhī  ki  āzār  ho  gayā
anbā-e-jins  se  jo  uThā.īñ  aziyyateñ
sūrat  se  aadmī  kī  maiñ  bezār  ho  gayā
sair-e-chaman  ko  yaar  jo  aayā  to  dekhnā
āñkhoñ  meñ  andalīb  ke  gul  ḳhaar  ho  gayā
'ahqar'  gila  rahā  na  adāvat  kā  ġhair  kī
jab  yaar  qatl  karne  pe  tayyār  ho  gayā