Fitrat Ansari

un ka mansha hai na phaile KHas-o-KHashak mein aag

Fitrat Ansari

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1920

un manshā hai na phaile ḳhas-o-ḳhāshāk meñ aag

ātish-e-dil na lagā dīda-e-namnāk meñ aag

barq-e-ġham ban ke jo ehsās-e-nazar phūñk ga.ī

is qadar thī tire ik jumla-e-be-bāk meñ aag

sho.ala-e-mai navāzish hai to lag jā.egī

sāz-e-hastī ke har ik naġhma-e-nāpāk meñ aag

un ke āñgan meñ bhī añgāre baras jā.eñge

āh-e-sozāñ na lagā dāman-e-aflāk meñ aag

qāfile aur bhī manzil taraf aate haiñ

tum sar-e-rāh dabāo na abhī ḳhaak meñ aag

shukr hai us tamannā huī puurī yārab

tere dīvāne muddat se rahī taak meñ aag

chashm-e-fitrat se Tapaktā hai mohabbat jalāl

phail jaa.e na kahīñ ālam-e-idrāk meñ aag

Top Urdushayar.com