zauq-e-nazar  ko  jalvā-e-be-tāb  le  gayā
ta.abīr  ke  nashāt  ko  ik  ḳhvāb  le  gayā
mauj-e-subuk-ḳhirām  kī  tahrīk  hī  to  thā
vo  hausla  jo  mujh  ko  tah-e-āb  le  gayā
sar  un  kī  bārgāh  meñ  jhuk  to  gayā  magar
dil  ābrū-e-mimbar-o-mehrāb  le  gayā
naġhmāt-e-dil  fazā  meñ  bikharne  na  paa.e  the
tār-e-nafas  ko  sadma-e-mizrāb  le  gayā
dil  irtiqā-e-zehn  kā  hāsil  to  ho  gayā
husn-e-yaqīñ  ko  ālam-e-asbāb  le  gayā
hairat-fishāniyāñ  mujhe  de  to  gayā  magar
ā.īna  zindagī  kī  tab-o-tāb  le  gayā
ham  ne  mahal  banā.e  the  kuchh  regzār  par
jin  ko  bahā  ke  vaqt  kā  sailāb  le  gayā