tirā  jalva  nihāyat  dil-nashīñ  hai
mohabbat  lekin  is  se  bhī  hasīñ  hai
junūñ  kī  koī  manzil  hī  nahīñ  hai
yahāñ  har  gaam  gām-e-avvalīñ  hai
sunā  hai  yuuñ  bhī  akasr  zikr  un  kā
ki  jaise  kuchh  ta.alluq  hī  nahīñ  hai
masīhā  ban  ke  jo  nikle  the  ghar  se
lahū  meñ  tar  unhīñ  kī  āstīñ  hai
maiñ  rāh-e-ishq  kā  tanhā  musāfir
kise  āvāz  duuñ  koī  nahīñ  hai
'shamīm'  us  ko  kahīñ  dekhā  hai  tum  ne
sunā  hai  vo  rag-e-jāñ  se  qarīñ  hai