Shamim Jaipuri

jo hans hans ke har gham gawara kare hai

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
jo hañs hañs ke har ġham gavārā kare hai
ye himmat bhī ik ġham kā maarā kare hai
kinārā bhī jis se kinārā kare hai
madad us kī tūfāñ kā dhārā kare hai
jo dair-o-haram se kinārā kare hai
har ik shai meñ terā nazzārā kare hai
paḌā hai jo dīvāna terī galī meñ
ḳhudā jaane kis ko pukārā kare hai
tire saath hañs kar guzārī hai jis ne
vo ab āñsuoñ par guzārā kare hai
ḳhudā us ke dāman ko phūloñ se bhar de
mujhe pattharoñ se jo maarā kare hai
taġhāful se chhuptī nahīñ hai mohabbat
taġhāful to aur āshkārā kare hai
'shamīm' us ne sāhil pe mujh ko Duboyā
jo Duube huoñ ko ubhārā kare hai
Top Urdushayar.com