sāhil  pe  laa.ī  aur  safīne  Dubo  diye
yuuñ  zindagī  ne  ham  ko  hañsāyā  ki  ro  diye
ahl-e-chaman  ne  jashn-e-bahārāñ  ke  naam  se
vo  dāstāñ  sunā.ī  ki  dāman  bhigo  diye
zabt-e-ġham-e-firāq  kī  majbūriyāñ  na  pūchh
dil  meñ  kisī  kā  naam  liyā  aur  ro  diye
fariyād  kī  hai  baat  magar  ab  sunegā  kaun
ik  nāḳhudā  ne  kitne  safīne  Dubo  diye
ai  vā.e-sa.ī-e-zabt  ki  aksar  tire  huzūr
hañsne  kā  ehtimām  kiyā  aur  ro  diye
un  āñsuoñ  kā  dekhne  vaalā  koī  na  thā
jin  āñsuoñ  meñ  ham  ne  tabassum  samo  diye
rāh-e-junūñ  meñ  kaam  ḳhirad  se  liyā  hī  thā
zo.af-e-talab  ne  paañv  meñ  kāñTe  chubho  diye
tajdīd-e-ahd-e-ishq  huī  aaj  yuuñ  'shamīm'
nazreñ  milīñ  salām  kiyā  aur  ro  diye