hamāre  saath  jise  maut  se  ho  pyaar  chale
koī  chale  na  chale  ham  to  sū-e-dār  chale
na  daur-e-jām  na  ab  qissa-e-bahār  chale
unhīñ  kā  zikr  chale  aur  baar  baar  chale
ruḳh-e-zamāna  badalne  chale  the  dīvāne
tire  huzūr  magar  kis  kā  iḳhtiyār  chale
hayāt-e-ishq  kā  hāsil  the  bas  vahī  lamhe
jo  terī  anjuman-e-nāz  meñ  guzār  chale
udhar  manā.e  ga.e  ḳhuub  jashn-e-dār-o-rasan
kafan-ba-dosh  jidhar  tere  jāñ-nisār  chale
ye  ġham  nahīñ  ki  hamīñ  ko  yahāñ  amaañ  na  milī
ḳhushī  ye  hai  ki  tirī  anjuman  sañvār  chale
hamīñ  chaman  meñ  payām-e-bahār  laa.e  the
chaman  se  le  ke  hamīñ  hasrat-e-bahār  chale
mirī  taraf  se  mubārak  ho  ahl-e-gulshan  ko
jo  mere  ba.ad  kabhī  bād-e-nau-bahār  chale
ye  inqalāb  ajab  hai  ki  mai-kade  se  'shamīm'
kidhar  ye  teġh-ba-kaf  ho  ke  bāda-ḳhvār  chale