zamīñ  pe  rah  ke  dimāġh  āsmāñ  se  miltā  hai
kabhī  ye  sar  jo  tire  āstāñ  se  miltā  hai
isī  zamīñ  se  isī  āsmāñ  se  miltā  hai
ye  kaun  detā  hai  āḳhir  kahāñ  se  miltā  hai
sunā  hai  luuT  liyā  hai  kisī  ko  rahbar  ne
ye  vāqi.a  to  mirī  dāstāñ  se  miltā  hai
dar-e-habīb  bhī  hai  but-kada  bhī  ka.aba  bhī
ye  dekhnā  hai  sakūñ  ab  kahāñ  se  miltā  hai
talab  na  ho  to  kisī  dar  se  kuchh  nahīñ  miltā
agar  talab  ho  to  donoñ  jahāñ  se  miltā  hai
vahīñ  chalo  vahīñ  ab  ham  bhī  haath  phailā.eñ
'shamīm'  saare  jahāñ  ko  jahāñ  se  miltā  hai