Shamim Jaipuri

aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
aaj jiine kī kuchh ummīd nazar aa.ī hai
muddatoñ ba.ad tirī rāhguzar aa.ī hai
zindagī kā koī ehsās hī baaqī na rahā
zindagī le ke mujhe aaj kidhar aa.ī hai
aap dekheñ to zarā ḳhūn-e-tamannā kī bahār
kitnī surḳhī mirī āñkhoñ meñ utar aa.ī hai
kis ke pairāhan-e-rañgīñ kī mahak hai is meñ
aaj ye bād-e-sabā ho ke kidhar aa.ī hai
tū ne ḳhud tark-e-mohabbat kī qasam khaa.ī thī
kyuuñ tirī aañkh mujhe dekh ke bhar aa.ī hai
ab kisī jalva-e-rañgīñ se mujhe kaam nahīñ
un kī tasvīr mire dil meñ utar aa.ī hai
is meñ kuchh un kī jafā.eñ bhī to shāmil haiñ 'shamīm'
bevafā.ī kī jo tohmat mire sar aa.ī hai
Top Urdushayar.com