ilāhī  kaash  ġham-e-ishq  kaam  kar  jaa.e
jo  kal  guzarnī  hai  mujh  par  abhī  guzar  jaa.e
tamām  umr  rahe  ham  to  ḳhair  kāñToñ  meñ
ḳhudā  kare  tirā  dāman  guloñ  se  bhar  jaa.e
zamāna  ahl-e-ḳhirad  se  to  ho  chukā  māyūs
ajab  nahīñ  koī  dīvāna  kaam  kar  jaa.e
hamārā  hashr  to  jo  kuchh  huā  huā  lekin
duā  ye  hai  ki  tirī  āqibat  sañvar  jaa.e
nigāh-e-shauq  vahī  hai  nigāh-e-shauq  'shamīm'
jo  ek  baar  ruḳh-e-yār  par  Thahar  jaa.e