na  pūchh  kab  se  ye  dam  ghuT  rahā  hai  siine  meñ
ki  maut  kā  sā  maza  aa  rahā  hai  jiine  meñ
na  jaane  kyuuñ  ye  talātum  Dubo  nahīñ  detā
ki  nāḳhudā  bhī  nahīñ  ab  mire  safīne  meñ
qadam  qadam  pe  bachāyā  hai  Thokaroñ  se  magar
ḳharāsh  aa  hī  ga.ī  dil  ke  ābgīne  meñ
mahak  rahī  hai  sabā  sub.h  se  na  jaane  kyuuñ
nahā  ke  aa.ī  hai  shāyad  tire  pasīne  meñ
'shamīm'  sāhil  o  kashtī  se  kuchh  umiid  na  rakh
koī  vaqār  nahīñ  is  tarah  se  jiine  meñ