tark-e-mohabbat  par  bhī  hogī  un  ko  nadāmat  ham  se  ziyāda
kis  ne  kī  hai  kaun  karegā  un  se  mohabbat  ham  se  ziyāda
ham  ne  maanā  aap  meñ  hogī  sabr  kī  tāqat  ham  se  ziyāda
dekhiye  lekin  utrī  huī  hai  aap  kī  sūrat  ham  se  ziyāda
uff  vo  tabassum  halkā  halkā  haa.e  vo  bhīgī  bhīgī  palkeñ
vaqt-e-ruḳhsat  un  pe  garāñ  thā  lamha-e-ruḳhsat  ham  se  ziyāda
koī  tamannā  koī  masarrat  dil  ke  qarīb  aane  hī  na  dī
kis  ne  kī  hai  ishq  meñ  yaaro  ġham  se  mohabbat  ham  se  ziyāda