kyuuñ  mujhe  mahsūs  ye  hotā  hai  aksar  raat  bhar
sīna-e-shab  par  chamaktā  hai  samundar  raat  bhar
ek  barq-e-zard  lahrā.e  to  qissa  ḳhatm  ho
kyuuñ  Darā.e  rakhtā  hai  mujh  ko  mirā  ghar  raat  bhar
ab  rahegā  ziist  meñ  lamha-ba-lamha  ik  azaab
ab  khulegā  ik  fusūñ  manzar-ba-manzar  raat  bhar
maiñ  huuñ  kyā  aur  kyā  mirī  pahchān  ab  us  ke  baġhair
maiñ  jise  siine  meñ  rakhtā  huuñ  sajā  kar  raat  bhar
imtihāñ  hone  na  hone  kā  na  ho  darpesh  'tūr'
ik  sadā  sī  gūñjtī  hai  mere  andar  raat  bhar