ek  tamāshā  ye  bhī  jahāñ  meñ  kar  jaanā
apne  badan  se  kisī  kueñ  ko  bhar  jaanā
bas  ik  buuñd  lahū  se  saarī  fazīlat  hai
varna  kab  zinda  rakhtā  hai  mar  jaanā
us  ko  DhūñDne  meñ  jab  bhī  rañg  bharā
ham  ne  to  is  dil  ko  bhī  ik  manzar  jaanā
apne  sar  par  ḳhud  hī  sajānā  sūraj  ko
aur  apnī  parchhā.īñ  se  ḳhud  hī  Dar  jaanā
ḳhaak  ko  kyuuñ  chamkāyā  lahū  kī  raushnī  se
duniyā  ko  kyā  soch  samajh  kar  ghar  jaanā
ek  zarā  sī  anā  pe  bas  ham  zinda  haiñ
varna  'tūr'  bahut  āsāñ  hai  mar  jaanā