us  kī  chaah  meñ  ab  ke  ye  bhī  kamāl  huā
ḳhud  se  maiñ  bāhar  aayā  to  ek  misāl  huā
dard  kī  beḌī  shaam  se  hī  baj  uThtī  hai
maiñ  to  us  ke  firāq  meñ  aur  niDhāl  huā
vo  merī  tārīf  kā  ab  mohtāj  nahīñ
vo  chehra  to  ḳhud  hī  ek  misāl  huā
ḳhud  hī  charāġh  ab  apnī  lau  se  nālāñ  hai
naqsh  ye  kyā  ubhrā  ye  kaisā  zavāl  huā
ab  to  sannāTā  bhī  boltā  lagtā  hai
apne  aap  meñ  ye  bhī  ek  kamāl  huā
maiñ  apnī  tanhā.ī  se  shāyad  aajiz  thā
is  aahaT  kā  varna  kaise  ḳhayāl  huā
vo  bhī  mujh  ko  bhulā  ke  bahut  ḳhush  baiThā  hai
maiñ  bhī  us  ko  chhoḌ  ke  'tūr'  nihāl  huā