Krishna Kumar Toor

bhala kahan kise mumkin hai ye ada har bar

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
bhalā kahāñ kise mumkin hai ye adā har baar
charāġh rakhtā hai lau par dam-e-havā har baar
tū apne hāthoñ kī ThanDak se kar mujhe mānūs
tū merī āñkhoñ pe rakh shola-e-hinā har baar
kabhī to mere lahū ke nishāñ baneñge phuul
maiñ ġham ke dasht se guzrā barhana-pā har baar
ye merī zaat se nisbat huī hai ab kis ko
maiñ ḳhud ko dekhtā huuñ kyuuñ judā judā har baar
kabhī to chamkegā dil raas aa.egī duniyā
jahāñ se guzrā huuñ ye sochtā huā har baar
bachā ke rakkhe salāmat na koī jaañ apnī
sunā.ī detī hai bas ik yahī sadā har baar
vo 'tūr' kyuuñ mirī bātoñ pe ġhussa kartā hai
akhartā kyuuñ hai use merā pūchhnā har baar
Top Urdushayar.com