bhalā  kahāñ  kise  mumkin  hai  ye  adā  har  baar
charāġh  rakhtā  hai  lau  par  dam-e-havā  har  baar
tū  apne  hāthoñ  kī  ThanDak  se  kar  mujhe  mānūs
tū  merī  āñkhoñ  pe  rakh  shola-e-hinā  har  baar
kabhī  to  mere  lahū  ke  nishāñ  baneñge  phuul
maiñ  ġham  ke  dasht  se  guzrā  barhana-pā  har  baar
ye  merī  zaat  se  nisbat  huī  hai  ab  kis  ko
maiñ  ḳhud  ko  dekhtā  huuñ  kyuuñ  judā  judā  har  baar
kabhī  to  chamkegā  dil  raas  aa.egī  duniyā
jahāñ  se  guzrā  huuñ  ye  sochtā  huā  har  baar
bachā  ke  rakkhe  salāmat  na  koī  jaañ  apnī
sunā.ī  detī  hai  bas  ik  yahī  sadā  har  baar
vo  'tūr'  kyuuñ  mirī  bātoñ  pe  ġhussa  kartā  hai
akhartā  kyuuñ  hai  use  merā  pūchhnā  har  baar