Krishna Kumar Toor

kya bolun kaisi arzani meri thi

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
kyā bolūñ kaisī arzānī merī thī
vo sūraj thā aur peshānī merī thī
ik tasvīr nihāñ thī vaqt ke parde meñ
ġhaur se jo maiñ ne pahchānī merī thī
jitne bhī maujūd the manzar us ke the
aur āñkhoñ kī sab hairānī merī thī
ab dekhūñ to nā-mumkin sā lagtā hai
ye duniyā ik din dīvānī merī thī
farq hī kyā thā sar jaatā yā rah jaatā
jab sach kī fasl-e-imkānī merī thī
maiñ hī havā meñ uñgliyoñ se likhtā thā
ab jitnī bhī thī hairānī merī thī
kaise kaTtī ye zanjīr-e-ta.alluq-e-taur
jab duniyā bhar kī vīrānī merī thī
Top Urdushayar.com