bulāvā  kaun  sā  koh-e-nidā  meñ  rakkhā  hai
charāġh  ham  ne  jo  apnā  havā  meñ  rakkhā  hai
vo  chāhe  baḳhsh  de  zillat  ki  sarfarāz  kare
bas  ik  yaqīñ  hai  jo  ham  ne  ḳhudā  meñ  rakkhā  hai
adam  vajūd  meñ  bhartī  hai  ik  rag-e-maujūd
ab  aur  is  ke  sivā  kyā  duā  meñ  rakkhā  hai
na  ḳhud-shanāsī  agar  ho  to  kyā  nashāt-e-ishq
raqam  na  ho  to  kyā  harf-e-navā  meñ  rakkhā  hai
safar  na  ho  to  ye  lutf-e-safar  hai  be-ma.anī
badan  na  ho  to  bhalā  kyā  qabā  meñ  rakkhā  hai
jo  dekho  ġhaur  se  kuchh  kam  nahīñ  hai  ye  bhī  'tūr'
ik  iztirār  sukūn-e-havā  meñ  rakkhā  hai