Krishna Kumar Toor

deta hai koi mujhe sada bahar aa

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
detā hai koī mujhe sadā bāhar aa
ai mire badan meñ qaid havā bāhar aa
kab se hilā rahā huuñ zanjīr dar-e-shab
tū hī le kar hāthoñ meñ diyā bāhar aa
kyuuñ banā huā hai hadaf zamāne kā
guzrā hai kyā tujh pe sāneha bāhar aa
taaq meñ kab se sajā rahā huuñ yād-e-charāġh
tū hī to hai ik merā āshnā bāhar aa
kab tak tū āsmāñ meñ chhup ke baiThegā
maañg rahā huuñ maiñ kab se duā bāhar aa
tujhe yaqīn agar hai apne hone kā
aa ai merī jān-e-be-navā bāhar aa
sañg-e-malāmat se bach jaa.e to jāneñ
'tūr' is shahr-e-munāfiq meñ zarā bāhar aa
Top Urdushayar.com