ik  ḳhālī  chāñd  hī  lab-e-jū  rakhnā  thā
us  ke  hijr  kā  ye  bhī  pahlū  rakhnā  thā
sab  kā  dāman  motiyoñ  se  bharne  vaale
merī  aañkh  meñ  bhī  ik  aañsū  rakhnā  thā
sūraj  karnā  thā  merī  peshānī  ko
is  miTTī  meñ  ye  bhī  jaadū  rakhnā  thā
kis  kī  āñkheñ  kahāñ  kī  āñkheñ  harf  huiiñ
patthar  the  to  ḳhud  par  qaabū  rakhnā  thā
kiyā  thā  us  ke  naam  kī  lau  ko  raushan  jab
diloñ  meñ  aks-e-ḳhirām-e-āhū  rakhnā  thā
jab  hāsil  lā-hāsil  donoñ  ek  se  the
phir  ḳhud  ko  na  asīr-e-man-o-tū  rakhnā  thā
yaad  kā  ḳhanjar  utārnā  thā  siine  meñ
der  tak  ik  manzar  ko  ḳhushbū  rakhnā  thā
ik  aalam  se  bhar  kar  us  kī  jholī  'tūr'
apnī  hathelī  par  barg-e-hū  rakhnā  thā