Sulaiman Areeb

pyar ka dard ka mazhab nahin hota koi

Sulaiman Areeb

Hyderabad, Telangana, India

1922-1970
pyaar kā dard kā maz.hab nahīñ hotā koī
ka.aba-o-dair se matlab nahīñ hotā koī
sach to ye hai ki maiñ har bazm meñ tanhā hī rahā
yuuñ magar paas mire kab nahīñ hotā koī
jān-o-īmāñ sahī sab kuchh sahī tū mire liye
haa.e kis muñh se kahūñ sab nahīñ hotā koī
ek saaya thā jise maiñ ne pakaḌnā chāhā
vo jo hotā thā koī ab nahīñ hotā koī
chāñdnī phuul havā jaam sitāre ḳhushbū
zahr ke naam haiñ jis shab nahīñ hotā koī
mujh ko ḳhud mujh se bhī milne nahīñ detī duniyā
chhup ke miltā huuñ kabhī jab nahīñ hotā koī
jis ko mil jaa.e ye daulat ho mubārak us ko
sher sab ke liye mansab nahīñ hotā koī
Top Urdushayar.com