Sulaiman Areeb

bhes kya kya na zamane mein banae humne

Sulaiman Areeb

Hyderabad, Telangana, India

1922-1970
bhes kyā kyā na zamāne meñ banā.e ham ne
ek chehre pe ka.ī chehre lagā.e ham ne
is tamannā meñ ki is raah se tū guzregā
diip har raah meñ har raat jalā.e ham ne
dil se niklī na ḳharāsh-e-ġham-e-ayyām kī dhuup
tere nāḳhun se ka.ī chāñd banā.e ham ne
dāman-e-yār ne haq apnā jatāyā na kabhī
ashk umDe bhī to palkoñ meñ chhupā.e ham ne
ḳhud hue ġharq zamāne ko bhī ġharqāb kiyā
ek aañsū se vo tūfān uThā.e ham ne
tere pahlū se bhī pahuñche na tire pahlū tak
fāsle qurb ke go laakh ghaTā.e ham ne
chehre katbe sahī katboñ kī ibārat pe na jā
abhī lafzoñ se kahāñ parde uThā.e ham ne
sher kahne se na mahbūb na duniyā hī milī
umr-bhar sher kahe sher sunā.e ham ne
Top Urdushayar.com